Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 04-05-2012
Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga
Maqsad-E-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga
Yaad Ker K Jo Na Roya Karbala Walon Ki Pyaas
Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga
Kat Kay Bhi Sab Se Jo Ooncha Hai Wo Sar Kis Ka Hai
Lut K Abaad Hai Ab Tak Wo Jo Ghar Kis Ka Hai
Takht Walon Ne Muar’rikh Bhi Khareede Honge
Zikr Dunia Main Magar Shaam-O-Seher Kis Ka Hai
Nahi Aaj Tak Koi Hussain (Ra) Sa Aya
Jo Kare Waju Khu Se Ada Namaj Talwar K Tale Kare,
Nahi Aaj Tak Koi Nawasa Hussain Ra Sa Aya
Jo Kare Ada Wada Apne Nana Ka Jaan De Ka Imaa Ki Khatir.
Nahi Aaj Tak Koi Hussain Ra Sa Aya
Sar Gair K Aage Na Jukane Wala
Aur Nezey Pey Bhi Quraan Sunaney Wala
Islam Se Kya Poochte Ho Kon Hussain
Islam Ko Islam Banane Wala
Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan
Paani Phirta Hai Talash-E-Hussain Main
Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De
Tabeer Me Imam Ka Jalwa Dikhayi De
Aye ! Ibn-E-Murtuza Tere Saamne
Suraj Bhi Ek Chota Sa Zarra Dikhayi De
Din Rota He Raat Roti He
Din Rota He Raat Roti He
Har MOMIN Ki Zaat Roti He
Jab B Aata He MUHARRAM Ka Mahena
KHUDA Ke Qasam Ghum-E-HUSSAIN Main Sari Kainat Roti Hai
Naaaaraaaaa-Eeeeee- Hydri YA ALI ALI HAQ He
Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main
Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main
Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal
Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main
Sajday se karbala Ko Bandagi Mil Gai
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai
Ek Chamman FATIMA(S.A) Ka Ujra
Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai