Tera Muskurata…
hindi shayari November 6th, 2009Tera Muskurata ho ya aana Hum ko acha lagaa
Woh Tera Sharma ke guzar jana accha lagaa
Door se Dekhna woh Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana accha lagaa
Woh jo Barson se Tere Seene main Qaid hai
Aankhon se batana accha lagaa
Tera jate waqt Mud kar na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana accha lagaa
Tu Falak ki tarha chaaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara accha lagaa
Suna hai Mohabbat mein hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka woh fasana saccha lagaa…