Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 25-04-2012
‘Taash K pat0n ki Manind hai Zindagi meri.. ~.Faraz.~
‘Jis kisi ne bhi Khela Taqseem mar diya Mujhe…!!!
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho ‘Faraz’ Aaj Shab !!
Us Ki Furqat Main Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna … !!!
Karun na yaad agar kis tarah bhulaaun use
Ghazal bahana karun aur gungunaau use
Is se pehle ke hum bewafaa ho jaayein
Kyon na aye dost hum juda ho jaaye
‘Faraz’ Zulm Hy Itni Khud-Aitmadi Bhi k
Raa Bhi Thi Andheri Aur Chiraag Bhi Na Lia
Bin Maange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz .
Koi Khaali Hath Reh Jaata Hai HAazaroon Duaaon K Baad .
Jiska tum puchte ho wo mar gaya “FARAZ”,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya……….
Tera na ho saka to mar jaunga “Faraz”,
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha.
bhala hathon ki lakeerain bhi mit’ti hain Faraz
kitna pagal hai mera naam mitanay wala
Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ‘Faraz’
Aankho’n Main Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir
In baarisho se dosti achchi nahi ‘Faraz’
Kachcha tera makaan hai kuch to khayaal kar
Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chala yakin ke bure hum hain dosto