Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 24-04-2012
ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota
Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne ?Ghalib? nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke
fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN ?GHalib?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.
her aik bat pe kehtey ho tum k tu kia he
tumhee kaho k ye andaaz-e-guftugoo kia he
jalaa he jism jahan, dil bhi jal gaya ho ga
kureydte ho jo ab raakh, justujoo kia he ?!?!?
ragon me dourrte phirne k hum nahi qayell
jo aankh hi se na tapka to phir lahoo kia he
aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai
dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
hamse ‘abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai
dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma’anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai
qatl ka mere kiya hai ‘ahad to baare
waae ! akhar ‘ahad ustuwaar naheeN hai
toone qasam mai_kashee kee khaaee hai ‘GHalib’
teree qasam ka kuchch ‘eitbaar naheeN hai !
‘arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma’a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha
marne ki ‘ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa
bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa
waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha
go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha
dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha
bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar ‘Asad’
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha