Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 24-04-2012
dayam para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main
karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main
‘ghalib’ wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the “naukar nahi hun main”
dard minnat kashe-dawa na hua
main na acha hua, bura na hua
jama karte ho kyon raqibon ko
ik tamasha hua gila na hua
ham kahan qismat azmane jayen
tu hi jab khanjar azma na hua
kitne shirin hain tere lab k raqib
galiyan khak bemaza na hua
hai khabar garm un k ane ki
aj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namard ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
jan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai k haq ada na hua
zakhm gar dab gaya lahu na thama
kam gar ruk gaya rawa na hua
rahzani hai k dilsitanee hai
lek dil, dilsitan rawa na hua
kuch to parhiye k log kahte hain
aj ‘ghalib’ gazalsara na hua
dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai
main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai
hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai
gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare
gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai
shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiye
dil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai
dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah
nagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai
garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq
par ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai
uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai
ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya
rang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai
naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz hai
khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai
saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai ‘Asad’
pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai
Saawan ka mausam tha,
Poonam ki raat thi,
Mein uske paas tha,
Woh mere karib thi
Fir woh mere paas aayi,
Aur thodi si ghabraayi,
Jab meine uska haath pakada,
To woh thodi si sharmaayi
Usne kaha aaj hum
Aise bandhan me bandh jaaye,
Jise duniya ki,
Koi taakat na tod paaye,
Meri khushi ka andaaza,
Lagana mushkil tha,
Par iske aage jo hua,
Woh batana bhi mushkil hai
Usne mera haath,
Haatho me lekar kaha,
Yeh to janam janmo,
Ka bandhan hai
Phir mujhe yaad aaya,
Woh Saawan ka mausam,
Woh poonam ki raat,
Yeh to Raksha Bandhan hai!