Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 06-05-2012
Chaader Pe Padi Ek Salwat He Zindagi
Kahin Dile-Dariya Kahin Khatpat Hai Zindagi
Kabhi Hasaati Hai Kabhi Rula Deti Hai
Sambhal Ke Chalna Badi Natkhat He Zindagi
Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin Sakun
Jiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi
Jise Dekhe Bina Na Kat-Ta Tha Ik Pal
Hui Shaadi Usi Se To Badi Jhanjat Hai Zindagi
Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki Tapish
Gauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi
Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain
Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain…
Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho
Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho
Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho
Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho
Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi
Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi
Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho
dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho
jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n
Duub jaane kii aarazuu bhii ho
sirf tere badan kii shamaa jale
aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho
Doosron K Khayalon Mein Seindh Laga Lete Hain Log,
Daaon-Peinch K Dum Pe Khud Ko Azmad Bana Lete Hain Log,
Tune Munh Kaya Phera Sabhi Sapne Hue Kaafoor,
Saanjh Dhale Jaise Chhat Se Kapde Utaar Lete Hain Log,
Yaadon Mein Uljhe Aksh Na Ghat-Te Hain Na Badhte Hain,
Anjaan Bastiyon Me Bhi Dil Laga Lete Hain Log,
Wo Aankhe Chahte Hue Bhi Kuchh Na Keh Saki,
Rivazon Ki Duniya Me Mushkil Me Phasa Dete Hai Log,
Sach To Sach Hai Jitna Hai Utna Hi Rahega,
Jhoot K Daayere Ko Badha-Ghata Lete Hain Log…
Tassavur Me Jab Tasveere Yaar Hoti He
Zindagi Tab Khushgavaar Hoti He
Zindagi Zindagi Nahin Rehti
Muflisi Ka Jab Shikaar Hoti He
Jigar Ka Tukra Tha Kisi Ka Jo Jal Gayee
Zindagi Yun Bhi Sharmsaar Hoti He
Havaniat Panapti Rahi Dorti Car Me
Zindagi Tab Laachaar Hoti He
Soch Samajh Ke Kharch Ki Zindagi Hamne
Kuchh Na Haath Laga Ye Nagavaar Hoti He
Aadmi Aadmi Nahin Rehta
Zindagi Jab Daagdaar Hoti He
Kuchh Na De Dikhai Daulat Ke Siva
Zindagi Tab Bimaar Hoti He…
Tu Sirf Tu Hai Tujh Jaisa Koi Nahin
Jo Samajh Sake Tujhe Aisa Koi Nahin
Yun To Shehar Me Bheed He Bahut
Do Kadam Saath Chale Aisa Koi Nahin
Waqt Ka Taqaza He Ya Shehare Tehzeeb
Doston Ke Beech Bhi Yha Saafgoi Nahin
Har Haal Me Jo Lehlahati Rahe
Aisi Fasal To Hamne Baarha Boi Nahin
Kise Sunaye Aaj Wo Gayan Geeta Ka
Aadmion Ke Jangle Me Arjun Sa Koi Nahin…