Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 04-05-2012
Zindagi yun hui basar tanha
kaafila saath aur safar tanha
Apne saaye se chaunk jaate hain
Umar guzari hai is qadar tanha
Raat bhar bolte hain sannaate
Raat kaate koi kidhar tanha
Din guzarta nahi hai logon mein
Raat hoti nahi basar tanha
Humne darwaaze tak to dekha tha
Phir na jaane gaye kidhar tanha
Aankhon mein jal raha hai kyon bujhta nahin dhuan
uthta to hai ghata sa barasta nahin dhuan
Chulhe nahin jalaye ke basti hi jal gayi
kuch roz ho gaye hain ab uthta nahin dhuan
Aankhon ke ponchne se laga aanch ka pata
yun chehra fer lene se chupta nahin dhuan
Aankhon ke aasuon se marasim purane hain
mehmaan yeh ghar mein aaye to chubhta nahin dhuan
Aadatan Tum Ne Kar Diye Vaade
Aadatan Ham Ne Aitabaar Kiya
Terii Raaho.N Me.N Baarahaa Ruk Kar
Ham Ne Apanaa Hi intazaar Kiya
Ab Naa Maa.Nge.Nge Zindagii Yaa Rab
Ye Gunaah Ham Ne Ek Baar Kiya
Ek purana mausam lauta, yad bhari purvaee bhi,
aisa to kam hi hota hai vo bhi hon tanhaee bhi .
yadon kee bauchharon se jab palake bhigane lagati hai,
kitani saundhi lagti hain tab mazee kee roosavaee bhi .
do do shaklen dikhti hain is bahake se aaeene mein,
mere sath chala aaya hai aapaka ek saudaee bhi .
khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi hai,
unkee baat suni bhi hamane apni baat sunaee bhi
Har Khushi Hai Logon Ke Daaman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahin.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hee Waqt Nahin.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahin.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahin.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahin.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hee Waqt Nahin.
Aankhon Mein Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahin.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahin.
Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahin.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hee Waqt Nahin.
Tu Hee Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahin.