Posted by admin | Posted in Motivational Shayari | Posted on 30-04-2012
Kyun Tut jata hain aaina surat teri dekhkar,
sarma jati hain chandni nazare teri dekhkar,
Tu ek pal ke liye muskura ke to dekh idhar,
Tere chahane walon ki bheed hain is kadar !
Chehre ki hansi se har gam chhupao,
Bahut kuch bolo par kuch na batao,
Khud na rootho kabhi par sabko manaao,
Raaz hai ye zindgi ka bas jeete chale jao..
Ek halki si hawan ne mujhe is kadar chhuaa,
Na jane kayon laga jaise ki mujhe kuch huaa,
Palko pe bane sapno ka saya kaise door huaa,
Socha tha jise apna wo iss kadar door huaa !
Kya hai zindgi,
Dekho to khwab hai zindgi,
Padho to kitab hai zindgi,
Suno to gyan hai zindgi,
Par haste raho to aasan hai zindgi…
Mushkile dilo ke iraade azmayegi
Khwaabo ke parde nigaaho se hatayegi
Girkar tujhe hai smabhalna
Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi…
Duriyan he dilon ko nazdik lati hain
Duriyan he ek duje ki yaad dilati hain,
Dur hokar bhi koi kareeb hai kitna
Duriyan he is bat ka ehsas dilati hain…
Hum hawa nahi jo kho jayenge,
Waqt nahi jo guzar jayenge,
Hum mausam nahi jo badal jayenge,
Hum to aansu hai jo khushi aur ghum dono me saath nibhaenge.
Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne
Abhi to sara aasman baaki hai…
Apne saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona
Jab bhi rona to chiragon ko bujha kar rona
Jahan chot khana wahan muskurana
Magar is ada se ke roye sara zamana…
Hoke maayus na yu shaam ki tarah dhalte rahiye
Jindgi ek bhor hai suraj ki tarah nikalte rahiye
Tharoge ek paav par to thak jaaoge
Dheere dheere hi sahi magar raah par chalte rahiye..