Posted by admin | Posted in Motivational Shayari, Sher O Shayari | Posted on 16-04-2012
Tere Liye Jo Rab Ne Sajaya Hai
Gulsitaan Nahi Sari Bahaar Hai
Tujhe Ek Gul Ki Talaash Hai Aur
Gulshan Ko Tera Intezaar Hai
Na Ho Tu Udaas Yaqeen Rakh
Zara Apne Sapne Sanwaar Le
Na Tu Dil Ko Apne BeQaraar Kar
Tu Kai Diloon Ka Qaraar Hai.
koshishon ke bawajood….
ho jaati hai kabhi haar…
hoke niraash mat baithna…
mann ko apne maar…
badte rahna aage sada…
ho jaisa bhi mousam…
paa leti manzil chinti bhi…
gir gir ke har baar…
tufaan ki kami nahi jeevan mein
ladte hue safar karna hoga
jo milenge zakhm safar-e-rahon mein
unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga
laakh zakhm khaane par bhi
har zakhm naya hoga
tajurba kitna hi kyu na ho
har safar naya hoga
parindon ko manzil milengi yakeenan
yeh faile hue unke par bolte hai
wohi log rehte hai khaamosh aksar
zamaane mein jinke hunar bolte hai……
Apni zameen, apna naya aasman paida kar,
Mangane se zindagi kab milti hai E dost,
Khud hi apna naya itihaas paida kar.
Kitnon ki takdeer badlni hai tumhe,
Kitnon ko raste pe lana hai tumhe,
Apne haath ki lakiron ko mat dekho,
In lakiron se aage jana hai tumhe.
Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.
Sar Jhukaogay to pathar bhi dewtaa ho jayega,
Itna na chaho ussay, woh bewafa ho jayega.
Hum bhi dariya hain, humein apna hunar maloom hai,
Jis taraf chal padey raasta ho jayega.
Yahi hai zindagi apni, yahi hai bandagi apni
ke unka naam aaya aur gardan jhuk gayi apni.
Humko mita sake ye zamane mein dam nahi,
Hamse zamana khud hain, zamane se hum nahi
Jo beet gayi so beet gayi,
Jo beet gayi so beet gayi,
Jo chal rahi hai wo batate hain,
Ab to jahan bhi chale jate hain
Wahan jaa kar chaa jate hain.
Bhujhi shamaa bhi jal sakti hai,
Toophaan se kashti bhi nikal sakti hai,
Hoke maayus yoon na apne iraade badal,
Teri kismat kabhi bhi badal sakti hai.