Posted by admin | Posted in Romantic Shayari | Posted on 06-05-2012
Ae Sawan Tu Kyon Itni Berukhi kar Raha Hai
Na Wo Chhamchhamati Barish
Na Koi Khushi De Raha Hai
Kya Teri Badli Tujhse Khafa Ho Gayi
Ya Tu Kahi Aur Dillagi Kar Raha Hai
kudrat kya kahti hai kaise
kahti hai kyun kahti hai
ye to uparvale ki awaaz hai
jo hamesha kayam rahti hai
ye ek sada hai jo har
dil me palti hai
ye ek ada hai jo har
dil ki sunti hai
kahin nadi ka kal kal pani to kahin
dhandhi meethi pawan
kahin sunhari shaam ka
manzar aaftab ka mamnoon andaaz
Azaad panchhi hoon
aazadi pasand karti hoon
Na kesi ko qaid rakhti hoon
na kesi ki qaid mein rehti hoon
Na kisi ke samne jhukte hain
Na kisi pe zulam karte hain
Zindagi se mohabaat karte hain
Zinda dili se jeete hain
Chandni se chamakti is raat mein
ek khushboo si hai har baat mein
hai sitaare mere kadmo ke tale
Ek ehsaas hai aaj unki har aahat mein
paas aake bhi kyu hain duriya
koi pyasa hai kyu barsat mein
Tufano se takkar lene walay
mojo se ghabratay nahi,
Apni kismat khud badalne walay
dosron se bheek mangtay nahi.
jhoomti hui hawa ya
madhham madham saba
kahte hain darakht suno
mahka mahka sama
kahin pahadon ke beech gaanv koi
to kahin gaanvon ka pahaad
kahin parwaton ke saaye
me sooraj ki parchhayiyun ka bhaav
kudrat ek shayri hai jise
Khuda roz likhta hai
kudrat ek aashiqui hai jisme
Khudaai ka ehsaas palta hai
mithaas iski mahsoos karen to
madhoshi roshni bhi sharma jaye
ye ek sada hai jo khumari se
uthti hai khwaab me khoti hai
dharti gagan hawa pawan ye
sab prakrati ke phool hain
inke ehsaas hi gulon ki
khushbu aur gulshan ka usool hain