Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 25-04-2012
Deewar-O-Dar Se Utar Kar Perchaiyan Bolti Hain
Koi Nahi Bolta Jab Tanhaiyan Bolti Hain
Perdesh Ke Raaston Mein Rookte Kahan Hain Musafir
Har Ped Kehta Hai Kissa Khamoshiyan Bolti Hain
Ek Bar To Zindagi Mein Milti Hai Sabko Haqumat
Kuch Din To Har Aaine Mein Sehzadiyan Bolti Hain
Sun’ne Ki Mohlat Mile To Aawaz Hai Pathron Mein
Ujadi Hui Bastiyon Mein Aabadiyan Bolti Hain
Har Ghadi Khud Se Ulajhna Hai Muqaddar Mera
Main Hi Kashti Hoon Mujhi Mein Hai Samander Mera
Kis Se Puchun Ki Kahan Gum Hoon Kai Barson Se
Har Jagah Dhoondhta Firta Hai Mujhe Ghar Mera
Ek Se Ho Gaye Mausamo Ke Chehre Saare
Meri Aankhon Se Kahi Kho Gaya Manzar Mera
Muddatein Beet Gayi Khwab Suhana Dekhe
Jaagta Rehta Hai Har Neend Mein Bistar Mera
Aaina Dekh Ke Nikla Tha Main Ghar Ke Baahar
Aaj Tak Haath Mein Mehfooz Hai Pathar Mera
Har Chamakti Kurbat Mein Ek Faasla Dekhu
Kaun Aane Wala Hai, Kiska Raasta Dekhu
Sham Ki Dhundh Hai Ya Udas Mamta Hai
Bhooli Bisri Yaadon Se Foot-ti Dua Dekhu
Lehar-Lehar Pani Mein Doobta Hua Suraj
Kaun Mujhme Dar Aaya Uth Ke Aaina Dekhu
Lehlhate Mausam Mein Tera Zikr Bahar Jaisa
Shakh-Shakh Per Tere Naam Ko Hra Dekhu
Jo Ho Ik Baar Voh Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
Hamesha Ek Hi Se Pyar Ho Aisa Nahi Hota
Har Ek Kashti Ka Apna Tajurba Hota Hai Dariya Mein
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota
Sikha Deti Hain Chalna Thokrein Bhi Raahgiro Ko
Koi Rasta Sada Dushwar Ho Aisa Nahi Hota
Kahi To Koi Hoga Jiski Apni Bhi Zaroorat
Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aisa Nahi Hota
Ghar Se Nikle To Ho, Socho Kidhar Jaoge
Har Taraf Tez Hawayein Hain Bikhar Jaoge
Itna Aasan Nahi Lafzon Pe Bharosha Karna
Ghar Ki Dehleez Pukaregi Jidhar Jaoge
Sham Hote Hi Simat Jayenge Saare Raastey
Behte Dariya Mein Jahan Honge, Thaher Jaoge
Har Naye Shehr Mein Kuch Raate Kadi Hoti Hain
Chat Se Deeware Juda Hongi To Dar Jaoge
Pehle Har Cheez Nazar Aayegi Bemani Si
Aur Phir Apni Hi Nazar Se Utar Jaoge
Aati Jaati Har Mohabbat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi
Jab Talak Hai Khubsoorat Hai, Chalo Yoon Hi Chalo
Hum Kahan Ke Devta Hain, Bewafa Voh Hai To Kya
Ghar Mein Koi Ghar Ki Zeenat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi
Voh Nahi To Koi To Hoga Kahi Uski Tareh
Jism Mein Jab Tak Hrart Hai, Chalo Yoon Hi Sahi
Mailey Ho Jate Hain Rishte Bhi Libaso Ki Tareh
Dosti Har Din Ki Mehnat Hai Chalo Yoon Hi Sahi
Bhool This Apni Farishta Aadmi Mein Dhundhna
Aadmi Mein Aadmiyat Hai Chalo Yoon Hi Sahi
Jaisi Honi Chahiye Thi Vaisi To Duniya Nahi
Duniyadari Bhi Zaroorat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi
Neel Gagan Mein Tair Raha Hai Ujla-Ujla Poora Chand
Kin Aankho Se Dekha Jaye, Chanchal Chehre Jaisa Chand
Munni Ki Bholi Baaton-Si Chatki Taaron Ki Kaliyan
Pappu Ki Khamosh Shararat Sa Chhup-Chhup Kar Ubhra Chand
Mujhse Pucho Kaise Kaati Maine Parvat Jaisi Raat
Tumne To Godi Mein Lekar Ghaton Chooma Hoga Chand
Perdesi Sooni Aankhon Mein Shole Se Lehrate Hain
Bhabhi Ki Chhedon-Sa Badal, Aapa Ki Chutki Sa Chand
Tum Bhi Likhna, Tumne Us Shab Kitni Baar Piya Pani
Tumne Bhi To Chhajje Upar, Dekha Hoga Poora Chand
Darwaje Per Har Dastak Ka Jana Pehchana Chehra Hai
Roz Badlati Hain Taarikhen Waqat Magar Yun Hi Thehra Hai
Har Dastak Hai ‘Uski’ Dastak
Dil Yun Hi Dhoka Khata Hai
Jab Bhi Darwaja Khulta Hai Koi Aur Nazar Aata Hai…
Jo Mila Khud Ko Dhundhta Hi Mila
Har Jagah Koi Dusra Hi Mila
Gham Nahi Sota Aadmi Ki Tarah
Neend Mein Bhi Ye Jaagta Hi Mila
Khud Se Hi Mil Ke Laut Aaye Hum
Humko Har Taraf Aaina Mila
Har Thkaan Ka Fareb Hai Manzil
Chalne Walon Ko Rasta Hi Mila
Voh Bhi Meri Tarah Hi Shaher Mein Tanha Hoga
Roshni Khatam Na Kar Aage Andhera Hoga
Pyaas Jis Nehr Se Takrayi Vo Banjar Nikli
Jisko Piche Kahi Chor Aaye Vo Dariya Hoga
Ek Mehfil Mein Kayi Mehfilein Hoti Hain Shareek
Jisko Bhi Pass Se Dekhoge Akela Hoga
Mere Baare Mein Koi Raay To Hogi Uski
Usne Mujhko Bhi Kabhi Tor Ke Dekha Hoga
Pehle Bhi Jeete The Magar Jab Se Mili Hai Zindagi
Sidhi Nahi Hai Door Tak Uljhi Hai Zindagi
Ik Aankh Se Roti Hai Ye, Ik Aankh Se Hansti Hai Ye
Jaisi Dikhai De Jise Uski Vahi Hai Zindagi
Jo Paye Voh Khoye Use, Jo Khoye Voh Roye Use
Yoon To Sabhi Ke Paas Hai Kiski Hui Hai Zindagi
Har Raasta Anjaan Sa Har Falsafa Nadan Sa
Sadiyon Purani Hai Magar Har Din Nayi Hai Zindagi
Achi Bhali Thi Door Se, Jab Paas Aayi Kho Gayi
Jisme Na Aaye Kuch Nazar Voh Roshni Hai Zindagi
Mitti Hawa Lekar Udi Ghoomi Firi Vaapas Mudi
Kabron Pe Shilalekho Ki Tarah Likhi Hui Hai Zindagi
Koi Pukar Raha Tha Khuli Fazaon Se
Jise Nigah Mili Usko Intezar Mila
Vo Koi Raah Ka Pathar Ho Ya Hanseen Manzar
Jahan Se Raasta Thehra Vahin Mazaar Mila
Har Ek Saans Na Jaane Thi Justjoo Kiski
Har Ek Ghar Musafir Ko Beghar Mila
Ye Shehar Hai Ki Numaish Lagi Hui Hai Koi
Jo Aadami Bhi Mila Banke Ishtihar Mila