Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 25-04-2012
Gaye baras ki eid ka din kya acha tha,
chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha
Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi
mausam apne rang mein faiz ka missraah tha
Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein
woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha
Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein
us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha
Phir mere chehre ko haathon mein le ker
kitney pyar se mera maatha chooma tha!
Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kya woh apni chat per aj akela tha?
Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?
Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati
Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauqoof
Maangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati
Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon Ki
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati
Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati
Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati
Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeenn Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata
Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata
Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata
FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata
Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata
Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein
Phir Aaina Dekhne Lagi Mein
Oski Tarah Apna Naam Le Kar
Khud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein
TU Mere Bagair Na Reh Sakaa Tou
Kub Tere Bagair Jee Saki Mein ???
Aati Rahay Ab Kaheen Se Aawaaz
Ab Tou Tere Paas Aagayi Mein
Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?
Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein
Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye,
Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye,
Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi,
Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye,
Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore,
Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye,
Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin,
Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye,
Woh dushmani ke bhi kaabil na mujh ko chore ga,
Us aadmi se yeh dil dosti tou ka jaye…
Dard phir jaaga,purana zakhm phir taaza hua
fasl e gul kitnay qareeb aaii hai,andaza hua
Subha yuun nikli,sanwar kay jis terha koi dulhan
shabnam aawaiza hui,rang e shafaq ghaza hua
Haath meray bhool bethay dastaken dainay ka fun
band mujh par jab say us kay ghar ka darqaza hua
Rail ki seeti men kesay hijr ki tamheed thi
us ko rukhsat kar kay ghar loatay to andaza hua
Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein,
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi barish mein,
Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla,
Hum ne naahiq hi ganwaya usey aarayesh mein,
Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi,
Jab talak hu mthey tere qurb ki asaayesh mein,
Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam,
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh mein,
Us ki ankhen bhi meri tarah se girdi kahin aur,
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish mein…
Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga
Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga
Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae ga
Kya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga
Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta hai
Ik jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga
Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liye
Mousam e gul mere angan main theher jaae ga
Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge
Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga
Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia waris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga
Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saa’at saeed kya ho gi
Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi
Jabke baadal ki aut laazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi
Zard mausam ki khushk tehni se
Konplon ki umeed kya hogi
Chand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naweed kya hogi
Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi
Nanhi larki,
Sahil ke itne nazdeek,
Rait se apna ghar na bana,
Koi sarkash mauj idhar ayi, to
Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,
Aur phir un ki yaad mein tu,
Saari umar udaas rahe gi..
Hoon To Khafa Us SE
Par Jaane Phir Bhi Kyun
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Achha Lagta Hai
Haqeeqat Se Hoon Dhoor
Ye Mujh Ko Hai Pata
Per Jaan Ke Anjaan Rehna Acha Lagta Hai
kayal Nahi Main Rone Ki Phir Bhi Kabhi Kabhi
Tanhaai Mein Kuch Der Rona Achha Lagta Hai
Tu MERA Tha, Tu MERA Hai, Tu MERA RaheGa
Kuch Pal Is Khwaab Mein Khona Acaha Lagta Hai