Posted by admin | Posted in Urdu Shayri | Posted on 08-04-2012
Ankhon se door hone ka koi gila nahi
Dil ke bouhat qarib ho kuch fasila nahi
Yaad rakho to dil ke paas hoon main
bhool jao to fasile hain bouhat
Mita do naam tak mera kitabe zindagi se tum
Magar pal pal roolayegi stayegi kami meri
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai…
Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..
Badalon Ke Darmian Kuchh aisi Sazish Hui
Mera Mitti Ka Ghar Tha Wahan Hi Barish Hui
Falak Ko aadat Thi Jahan Bijlian Girane Ki
Hum Ko Bhi Zid Thi Wahan Ashiana Banane Ki
Jasda-e-dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par aye dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!
Arz-o-sama kahan teri usat ko pa sake,
Ek mera hi dil hai jahan tu sama sake,
Wahdat ka teri kya hurf-e-dui la sake,
Aina kya majaal jo tujhe mooh dikha sake.
Kufr bakte hain woh jo kehte hai,
Izhaar-E-Mohabbat ko do labj hi kaafi hai,
Kisi Kafir se suna tha shayad,
Nazre bhi kaha karti hain!
Mujhe Takat Di jinda rehna ki
Mujhe hoansla diya chalte jane ka
mai sochta hoon kuda mujh per kyon itna meharbaan hai
ya shayad aage isse bhi bada registan hai
Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai…
Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …