Posted by admin | Posted in Hindi Shayari | Posted on 01-05-2012
Kyuon Banati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhul jayogi tum
Devdas Ko Papa Ne Kaha Ghar Chhod Do
Maa Ne Kaha Paro Ko Chhod Do
Devdas Ne Kaha Duniya Chhod Do
Appko Kisne Kaha Humse Baat Karna Naa Chhod Do…
Dil ke chhalon ko koi shayari kahe,
to dard nahi hotaTakleef to tab hoti hai,
Jab log wah-wah karte hain
Bas ab ek haan ke intezaar me raat yunhi guzar jaayegi,
ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
rimjhim is gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi…
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai
Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhna
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte
Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai
Aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,ek rangeen dhokha hai
Aur kuch nahi
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe
Dil kabhi kisi se lagana nahi.
Pani Se Pyaas Na Bujhi
Toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se
Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla…
Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai
hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai…
jab aata hai tera naam mere naam ke saath..
naa jano kyon log hamare naam se jalte hai…
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya.
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya…